Monday, December 1, 2008

Iss baar

Dara hua hoon mara hua hoon.
Iss baar iss baat ki khushi nahi ki main bacha hua hoon.

Pichhli baar bhi yehi socha thha ki ab bas.
To iss baar kya naya tey kiya hai?

Phir mombatti le kar gateway par khade ho jaayenge,
Phir radio stations par phone karke gussa jataayenge,

Is baar nahi jhukenge hum, yehi kaha thha pichhli baar,
Iss baar aur bhi tez hua unka vaar.

Jab sadak par koi mar raha hota hai, to kya iss sheher mein koi usse uthaata hai?
Jab neta ke goonde dukaane todte hain, logon ko marte hain,
to andar ka insaan, mombatti liye, kahan dubak kar baith jaata hai?

Jis parivaar mein bhai bhai mein hi nahi banti,
Uss par to vaar hoga hi,
jab aapas mein hi ladai hai,
to dushman to taiyyar hoga hi.

Iss sheher mein ek din ki roti kamaana hi ek jung hai,
Yahan maut ko jeena waise hi roz ka dhang hai.
wo majborri hai yahan ki, jisse chhupane ke liye,
Hum kehte hain ki yehi to iss sheher ka rang hai!

Agar khud ko bachaana hai,
to ghar ke andar ke dushman ko maar giraana hai.
Hawa se dushmani baad mein lenge,
Pehle to iss pedh ki jadon se deemak ko hataana hai!

Darr jo dikhata hai, wahi rasta sahi hai,
To iss baar bahut darr gaya hoon main,

27 november ko mera janmdin thha,
Iss baar mar gaya hoon main.

4 comments:

Garima said...

mindblowing!!!

Swati Sapna said...

i think this really expresses what we feel, and more importantly what we SHOULD feel.... better than what prasoon joshi wrote in todays paper! i know it sounds idealistic - this solution of fighting the external enemy instead of the internal one. Coz today it looks aso jumbled up to the common man. Who is to be trusted really? But this is the only way i guess.

Dasbehn said...

"Yahan maut ko jeena waise hi roz ka dhang hai"... Nice.

Also, I'd forgotten your b'day...Happy B'day...

sana said...

Its just too good.. and so true!!