Thursday, December 11, 2008

Copywriting interview

Writer banna hai toh agency join kar lo!

Yeh raha email-id, resume e-mail kar do!

Tum jaise hindi bhashi bahut demand mein hain,

Saale baaki ke angrez remand mein hain!

Waise shayari kar lete ho na?

Dikhte toh angrez ho,

Par angrezi padh lete ho na!

Interview ke liye jao toh hindi mein baat karna,

Achhi si do linein Ghalib ki yaad karna!


Cut to the interview!

Writer? Achha? Toh shuruaat kisi chhand(couplet) se karo,

Maine kaha pehle aap mera swagat pan pasand se karo!

Usne kaha, kahan tak padhe ho?

Maine kaha pappu paas ho gaya hai!

Usne kaha agency kyun?

Maine kaha kyun nahi?

Maine maanga pani ek glass,

Cold drink pakda di aur kaha sar utha ke piyo,

Maine chance pe dance maara aur kaha, papa ne kaha thha advertising,

Ja kar kahoonga unse - sar utha ke jiyo!

Usne kaha aisa kya hai tum mein jo baaki mein nahi,

Maine kaha mera dil roshan, mera mann roshan,

Andhere mein smile kar doon toh light ki zaroorat hi nahi.

Usne kaha kahan ke ho?

Maine kaha youngistan,

Phir bhi, jagah toh batao,

Maine kaha mera number Mumbai ka toh main bhi Mumbai ka

Usne kaha yahin tikoge na, bhag jaoge who knows?

Maine mobile nikaala aur kaha,

Wherever I go your network follows.

Usne poochi umr,

Maine kaha 29 saal ka boodha nahi 29 saal ka jawaan

Usne kaha kya peeyoge, coffe ya chai,

Maine kaha wah taj!

Usne kaha office dhoondne mein problem toh nahi hui,

Maine kaha nahi, hamara bajaj!

Usne kaha recession chal raha hai,

Phir agency ka naam bhi kharab ho gaya hai,

Maine kaha daag achhe hain.

Usne kaha 2 minute ruk sakte ho?

Maine kaha arre sar ke bal chal sakta hoon

Usne kaha pichhle office se kya kamaya hai?

Maine kaha rishton ki jamapoonji,

Usne kaha 25,000 salary,

Maine kaha kamse-kamse kam hai,

Usne poocha toh doon kya ek lakh?

Maine kaha sahi jawab,

Usne kaha nikal ja warna tujhe doon kya ek laat?

No comments: