Saturday, March 29, 2008

Dosti

Udte pankh pakheru si,

gote khati kaamnayein,

Swaavlambit, aatmnirbhar,

aseem, akhandit si kaamnaayein,

ek chhote se mann mein,

prati kshan ubharti naveen kaamnaayein,

Yeh sab soch raha ek pita ka mann.

Oonghti aankhon se, thami-thami saanson se,

uljhe-uljhe kadamon se chal kar,

jaane kitni himmat juta,

kitni baar, baar-baar amal kar,

anischitta ko jhel kar,

aai hogi paas mere,

te bhi socha hoga, ki kaisi man:stithi hai meri,

kaisi paristithi hai meri,

soorat par nischhalta jhalakti,

ek 'haan' ya 'na' par meri mano,

aa simta ho uska jeevan,

yeh sab soch raha ek pita ka mann.

Aakanksha par aashanka ka ghera,

prashnon par uttar ka pehra,

bina kuchh kahe aa baithi paas mere,

main agyaat sa, gum(ghum) sa thha,

Shayad main bhi kabhi tum sa thha”

dheere se poocha, “papa aaj sunday hai na?”

maine kuchh na kaha, bas sarr hila 'haan' kar di.

Papa aaj bahar chalein?”

Maine kuchh na kaha, bas sarr hila 'na' kar di.

Na socha uski kaamna ka,

bas swayam mein uljha sa,

uth wahan se chala gaya,

kitni laghu si kaamna,

kitna mahatvapoorn liye uske wo ek kshan,

ye sab soch raha ek pita ka mann.

Taiyyar ho ghar se nikal raha,

wahi kaamna se ot-prot si,

dekhti do nanhi aankhein

ek kalam utha aayi daudti paas mere,

le mera daayan haath, haathon mein apne,

jaane kya likh daala,

bina pade hi nikal gaya main,

shayad sochti rahi wo der tak,

ke kyun itna badal gaya main,

kyun na padh saka main,

uske nayanon ka darpan,

ye sab soch raha ek pita ka mann.

Shaam hui to ghar yaad aaya,

unhi nanhi aankhon ka darr yaad aaya,

akasmaat utha dekha daayan haath,

ab to kuchh kuchh mita sa,

par phir bhi pratyaksh,

jab dekha unn shabdon ko,

stabdh sa reh gaya main,

nayanon mein aansoo ubhar aaye,

jo saha hoga usne poore din,

maano main ek kshan mein seh gaya,

likha thha.......... “Daddy, aaj friendship day hai”

Sunday-monday poochna bahana thha,

bas usse to mujhe yaad dilaana thha,

saare kisse mein ek lupt si baat,

choo gayi antarmann ko mere,

'Poora din saath bitaane mein,

ek laghu sa lobh thha uska,

uske pita mein chhupa hua,

ek pyara sa dost thha uska'

iss laghu si upaadhi ke liye,

hai arpan mera saara jeevan,

ye sab soch raha ek pita ka mann.

Itna sankoch, itna krodh swayam par,

na aabhaas kiya thha maine,

ab to ghar pahunchne ke liye,

tatpar ho utha mera mann,

ghar pahuncha, usse saamne baitha paaya maine,

to kshama maangta sa, jab usse paas bulaya maine,

waisi hi daudti si, wo aa gale lag gayi mere,

jaise saare dosh, ek kshan mein bhool gayi mere,

ek chhoti si chocolate de,

maine kaha, “Beta, happy friendship day”,

thank you daddy” keh,

muskuraati si god mein chadh gayi mere.

Laghu harsh khojne mein sakshamta,

kaash hum sab mein hoti,

bachhon jaisi maaf karne ki kshamta,

kaash hum sab mein hoti.

No comments: