Thursday, April 10, 2008

Tasveer

Teri aankhon ne banayi thhi jo tasveer,

Uss se thha bas ek gila,

Khoobsurat to thhi behad,

Par uss mein main na thha.


Umr beet gayi chehron mein rang bharte-bharte,

Lekin wo chehra mera na thha.

Teri aankhon ne ...

Ek pal mein har pal ka hisaab,

maang leti hai zindagi,

Afsos mere paas bahikhata na thha.

Teri aankhon ne ...

Tasveer ka har chehra maayoos sa lagta hai,

Ya shayad ye manzar meri aankhon ka thha

Teri aankhon ne ...

Rang tere chehre ka zara aankhon mein bhar loon,

zamaane beete, inn mein se lahu baha na thha.

Teri aankhon ne ...

1 comment:

Anonymous said...

ooooooooh! this so reminds me of someone! you know who! :) i think tht in itself is compliment enough.